muqaddar mein sahil kahan hai miyan meri naw be-baadban hai miyan jo barq-e-tapan se munawwar rahe wahi aashiyan aashiyan hai miyan kahan jaiye mai-kada chhod kar yahi ek ja-e-aman hai miyan abad tak mukammal na ho paegi shab-e-gham ki ye dastan hai miyan kahan paon rakkhun pareshan hun zamin surat-e-asman hai miyan muqaddas sahi karobar-e-wafa magar is mein nuqsan-e-jaan hai miyan ajab phiki phiki si hai chandni udas aaj kyun chandraman hai miyan jahan dil ke badle mein milta hai dil wo duniya na jaane kahan hai miyan nahin mujh se 'abid' wo kuchh khas dur faqat zindagi darmiyan hai miyan