sirf karb-e-ana diya hai mujhe zindagi ne bhi kya diya hai mujhe muskuraate hue bhi darta hun gham ne buzdil bana diya hai mujhe jis tarah ret par ho naqsh koi yun hawa ne mita diya hai mujhe main use dil-lagi samajhta tha tu ne sach-much bhula diya hai mujhe yarab is be-hison ke shahr mein kyun dil-e-dard-ashna diya hai mujhe wo bhi thandi hawa ka jhonka tha jis ne yaksar jala diya hai mujhe us ne rakkha hai be-tarah masruf roz hi gham naya diya hai mujhe aaj mere hi dil ne ai 'abid' apna dushman bana diya hai mujhe