musa samjhe the arman nikal jaega ye khabar hi na thi tur jal jaega meri baalin pe rone se kiya faeda kya meri maut ka waqt tal jaega kya ayaadat ko us waqt aaoge tum jab hamara janaza nikal jaega kam-sini mein hi kahti thi teri nazar tu jawan ho ke aankhen badal jaega sab ko duniya se jaana hai ek din 'qamar' rah gaya aaj koi to kal jaega