na aasman hai sakit na dil thaharta hai zamana nam guzarne ka hai guzarta hai wo meri jaan ka dushman sahi magar sayyaad meri kahi hui baaton pe kan dharta hai hamin hain wo jo umid-e-fana pe jite hain zamana zindagi-e-be-baqa pe marta hai abhi abhi dar-e-zindan pe kaun kahta tha udhar se hat ke chalo koi nale karta hai wahi sukut se ek umr katne wala jo sunne wala ho koi to kah guzarta hai harif bazm mein chheda karen magar 'saqib' wo dil jo baith gaya ho kahin ubharta hai