na aati thi kahin dil mein nazar aag

na aati thi kahin dil mein nazar aag
magar phir bhi jali hai raat bhar aag

khula hai dil mein ek daghon ka gulshan
ugalta hai mera zakhm-e-jigar aag

bulaya tha mujhe bazm-e-tarab mein
laga di dil mein kyun munh pher kar aag

dikhaya tur par musa ko jalwa
kahan ja kar bani hai rahbar aag

ye girya aur phir aah-e-sharar-bar
taraqqi par idhar pani udhar aag

wo mera dil jalana khel samjhe
karegi rafta rafta ye asar aag

shab-e-gham is qadar roya hai koi
ki dhunde bhi nahin milti sahar aag

wo dil par hath rakh kar gae hain
ki ab jalne na pae raat bhar aag

zamane ko jalata hai wo zalim
na ban jaen kahin shams-o-qamar aag

ye kis ki sard-mehri ka asar tha
na dekhi tur par bhi jalwa-gar aag

karun kya aah-e-sozan hijr ki shab
farishton ke jala deti hai par aag

ye dushman ka makan apna hi ghar hai
laga den aap be-khauf-o-khatar aag

dil-e-sozan ye kah de chashm-e-tar se
khuda ke waste thandi na kar aag

hasad ki aag mein jalta hai ab tak
barasti hai adu ki qabr par aag

wuzu ho jaenge zahid ke thande
bujha degi kisi ki chashm-e-tar aag

dil-e-nadan ko hum samjha chuke the
mohabbat aag hai ai be-khabar aag

suna mazmun jawab-e-khat ka 'rasikh'
utha laya kahin se nama-bar aag


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close