ye sochte hue bazar se nikal aaya

ye sochte hue bazar se nikal aaya
na jaane aadmi kyun ghaar se nikal aaya

khabar nahin hai ki phir baadshah pe kya guzri
ghazal suna ke main darbar se nikal aaya

sabhi khade the khulega abhi dar-e-zindan
main jald-bazi mein diwar se nikal aaya

khabar ghalat hai main ye baat kahne wala tha
ki ek rewolwer akhbar se nikal aaya

sukhan ko nara qalam ko alam banate hue
sukut-e-hujra-e-fankar se nikal aaya

ajab nahin hai ki bazar ko baha le jae
jo ashk chashm-e-kharidar se nikal aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close