na angiya na kurti hai jaani tumhaari

na angiya na kurti hai jaani tumhaari
nahin pas koi nishani tumhaari

hui 'rind' to zindagani tumhaari
yahi hai agar na-tawani tumhaari

ziyaada hui yaad jaani tumhaari
gharaz qahr hai mehrbani tumhaari

na bhulunga hargiz na bhula hun ab tak
inayat karam mehrbani tumhaari

shabih aap ki khinch dega ye mana
ada kis tarah khinche mani tumhaari

tabah-o-kharab ek jahan ko kiya hai
khuda ka ghazab hai jawani tumhaari

wahi kah raha hun jo farmate ho tum
meri guftugu hai zabani tumhaari

barabar samajhte ho ghairon ke mujh ko
rahe mehrban qadrdani tumhaari

dil o dida lapka hai phansne ka tum ko
kahan tak karun pasbani tumhaari

bas ab shakl dikhlao be-ja hai ghamza
bahut sun chuke lan-tarani tumhaari

adam ko chala le ke dagh-e-mohabbat
dikhaunga sab ko nishani tumhaari

kiya imtihan mera sau marakon mein
wahi hai magar bad-gumani tumhaari

jaga kar dil-e-zar ne hijr ki shab
sahar tak kahi hai kahani tumhaari

bura gar na mano to sach sach main kah dun
tum achchhe buri bad-zabani tumhaari

karam kijiye aaiye hazrat-e-ishq
hai khun-e-jigar mehmani tumhaari

abas be-sabab be-jahat ruthte ho
yahi to bari khu hai jaani tumhaari

bhala tum hi munsif ho lillah bolo
wo kya baat thi jo na mani tumhaari

wo piri mein bhi 'rind' dekhe ab aa kar
jise yaad howe jawani tumhaari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close