ye dastak aur ye dar mera nahin hai

ye dastak aur ye dar mera nahin hai
ab is basti mein ghar mera nahin

safar hai aur hi darpesh mujh ko
ye musht-e-khak ghar mera nahin hai

main kis barud mein bikhri padi hun
ye dhad mera hai sar mera nahin hai

mujhe mere hawale kar gaya hai
to kya hai wo agar mera nahin hai

ye kis aangan mein jhukta ja raha hai
shajar mera hai ghar mera nahin hai

safar hai khwab mein sahra-e-jaan ka
magar wo ham-safar mera nahin hai

main kyon us ki kahani ban gai hun
agar wo harf-gar mera nahin hai

ajab si aanch dil tak aa rahi hai
ye shorida sharar mera nahin hai

shab-e-sajda jabin par jam gaya kya
ye dagh-e-ishq gar mera nahin hai

urus-e-sham roti phir rahi hai
ye aansu chashm-e-tar mera nahin hai

jo mere sath chalta ja raha hai
wo saya hai magar mera nahin hai

'sahar' ye aur hi duniya hai koi
yahan koi bhi dar mera nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close