na arman ban ke aate hain na hasrat ban ke aate hain

na arman ban ke aate hain na hasrat ban ke aate hain
shab-e-wada wo dil mein dard-e-furqat ban ke aate hain

pareshan zulf munh utra hua mahjub si aankhen
wo bazm-e-ghair se aashiq ki surat ban ke aate hain

bane hain shaikh-sahib naql-e-majlis bazm-e-rindan mein
jahan tashrif le jate hain hazrat ban ke aate hain

na rakhna hum se kuchh matlab ye pahli shart hai un ki
wo jis ke pas aate hain amanat ban ke aate hain

sitam ki khwahishen 'bekhud' ghazab ki aarzuen hain
jawani ke ye din shayad musibat ban ke aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close