na chheD zahid-e-nadan sharab pine de

na chhed zahid-e-nadan sharab pine de
sharab pine de khana-kharab pine de

abhi se apni nasihat ka zahar de na mujhe
abhi to pine de aur be-hisab pine de

main jaanta hun chhalakta hua gunah hai ye
tu is gunah ko be-ehtisab pine de

phir aisa waqt kahan hum kahan sharab kahan
tilism-e-dahr hai naqsh-e-bar-ab pine de

mere dimagh ki duniya ka aaftab hai ye
mila ke barf mein ye aaftab pine de

kisi hasina ke boson ke qabil ab na rahe
to in labon se hamesha sharab pine de

samajh ke us ko ghafur-ur-rahim pita hun
na chhed zikr-e-azab-o-sawab pine de

jo ruh ho chuki ek bar dagh-dar meri
to aur hone de lekin sharab pine de

sharab-khane mein ye shor kyun machaya hai
khamosh 'akhtar'-e-khana-kharab pine de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close