na dalilen na hi ababilen

na dalilen na hi ababilen
sabr ke ghunt hain wahi pi len

kaisi be-khwab hain sabhi aankhen
jis tarah khushk-o-be-aman jhilen

mat kha jaen zabt se apne
aur insaniyat pe bazi len

ek insan ka lahu kar ke
us pe shaitan ki gawahi len

kuch kar jaen aise kuche se
sath nakaamiyon ki punji len

jahl mein sahl hai unhen shayad
us pe ek dusre se thapki len

bas nahin chal raha farishton ka
warna palti hui ye dharti len

jin ke shajre mein bas jahaalat hai
un se naslon ki rahnumai len

rakh suraj hi ki nikalti hai
jab kisi raat ki talashi len

ye syahi hai is liye shayad
taki akhbar apni surkhi len

kitne hi girye hum pe wajib hain
par suhulat nahin ki ruhi len

sirf paida hon us zamane mein
aur phir umr bhar tasalli len

sakht nadim hun apne bachchon se
yahi mahaul hai agar ji len


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close