na furaat-o-dajla pe naz kar na fareb-e-gang-o-jaman mein aa ye jahan sab hai tera watan tu kidhar hai apne watan mein aa tu hai rang-e-nargis-o-nastaran hai tujhi se raunaq-e-anjuman tere muntazir hain gul-o-saman to bahaar ban ke chaman mein aa tujhe lakh log hasin kahen tujh lakh durr-e-samin kahen teri qadr hogi faqat yahin to harim-e-dil ke adn mein aa jo khayal-e-khuld mein ho magan mai-o-angbin mein ho jis ka man jo watan mein rah ke ho be-watan use kya kahun ki watan mein aa ye bahaar-e-bagh ye mahfilen teri khalwaton pe nisar hon tujhe kaam ghuncha-o-gul se kya tu chaman ko chhod ke ban mein aa rah-o-rasm-e-ishq pe rakh nazar ho jahan-e-nau ka payambar na to ahd-e-rafta ko yaad kar na fareb-e-charkh-e-kuhan mein aa ye khula na hum pe ki tu kahan mai-e-sher pi ke nikal gaya tujhe yaad karte hain 'arsh' sab kabhi phir bhi bazm-e-sukhan mein aa