nairangi-e-bahaar-o-KHizan dekhte rahe

nairangi-e-bahaar-o-khizan dekhte rahe
hairat se hum tilism-e-jahan dekhte rahe

pesh-e-nazar jahan ke rahi rahmat-e-khuda
hum barhami-e-husn-e-butan dekhte rahe

har gul hamari aql pe hansta raha magar
hum fasl-e-gul mein rang-e-khizan dekhte rahe

arz-e-niyaz-e-shauq ki achchhi mili ye dad
hans kar wo mere ashk-e-rawan dekhte rahe

tai kar gaya junun mera ek jast mein unhen
hairat se mujh ko kaun-o-makan dekhte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close