na ghaur se dekh mere dil ka kabaad aise

na ghaur se dekh mere dil ka kabad aise
ki main kabhi bhi nahin raha tha ujad aise

bura ho tera jo band rakhe the main ne ghar ke
to khol aaya baghair puchhe kiwad aise

jo meri ruh-o-badan ke tanke udhed dale
to meri nazron pe apni nazron ko gad aise

samajh na paya ki tod deta ya sath rakhta
ki is talluq mein aa gai thi darad aise

ai ishq! rah jaun phadphada ke yun kar de be-bas
so meri gardan mein apne danton ko gad aise

to meri aadat se meri fitrat hi ho chala hai
abhi bhi kahta hun mujh ko tu na bigad aise

ye mere bazu hi jang ka faisla karenge
pakad le talwar aur mujh ko pachhad aise

tumhaare gham ka pahad tuta to phir ye jaana
pahadon par hi to tutte hain pahad aise

hazar minnat hazar minnat hazar mehnat
tujhe manane ko kar raha hun jugad aise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close