na guman maut ka hai na KHayal zindagi ka

na guman maut ka hai na khayal zindagi ka
so ye haal in dinon hai mere dil ki be-kasi ka

main shikasta baam o dar mein jise ja ke dhundta tha
koi yaad thi kisi ki koi nam tha kisi ka

main hawaon se hirasan wo ghutan se dil-girafta
main charagh tirgi ka wo gulab raushni ka

abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon
kahin rog ban na jae yahi sath do ghadi ka

koi shahr aa raha hai to ye khauf aa raha hai
koi jaane kab utar le ki bharosa kya kisi ka

koi mukhtalif nahin hai ye dhuan ye raegani
ki jo haal shahr ka hai wahi apni shairi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close