na jaane kaun si saat mein ho gaya ghaeb jo andarun tatola to lapata ghaeb kidhar ko jaun hawaon ki qaid se chhut kar zamin tang hui aur rasta ghaeb wo ek abr ki manind mere upar se hawa ke sath uda aur ho gaya ghaeb kisi bhi taur barabar na ho saki taqsim jo ek samne aaya to dusra ghaeb