na kaam aai mere kuchh meri sharafat bhi

na kaam aai mere kuchh meri sharafat bhi
mere khilaf hui us ke sath khilqat bhi

wo shakhs yun tha ki jaise dhula-dhulaya hua
thi khatm us pe har ek tarah ki nafasat bhi

wo jama-zeb tha itna ki takte hi rahiye
ye dil to chahta tha mustaqil rafaqat bhi

bila-sabab na tha us mein wafur-e-khud-bini
ghurur-e-husn ke ham-rah thi nazakat bhi

tha us ka chehra-e-zeba ki mah-para koi
sukun-bakhsh thi us ki mujhe tamazat bhi

barat na sakta tha khul kar wo iltifat magar
thi us ki chashm-e-fusun-saz mein murawwat bhi

main us ke samne gum-sum raha sukhan-basta
na kar saka kabhi arz-e-hunar ki jurat bhi

main kar-gah-e-jahan mein azal se hun tanha
na ras aai mujhe mahwashon ki qurbat bhi

hujum-e-shauq mein yun bhi hua ki main 'nasir'
hawas gum kiye bhule raha zehanat bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close