na kaho e'tibar hai kis ka bewafai shiar hai kis ka ai ajal sham-e-hijr aa pahunchi ab tujhe intizar hai kis ka ishq se main khabar nahin ya rab dagh-e-dil yaadgar hai kis ka dil jo zalim nahin teri jagir to ye ujda dayar hai kis ka mohtasib puchh mai-paraston se nam aamarz-gar hai kis ka bazm mein wo nahin uthate aankh dekhna nagawar hai kis ka pahne phirta hai matami poshak aasman sogwar hai kis ka chain se so raho gale lag kar shauq be-ikhtiyar hai kis ka aap sa sab ko wo samajhte hain mo'tabar inkisar hai kis ka yar ke bas mein hai ummid-e-visal yar par ikhtiyar hai kis ka aap 'bimar' hum hue ruswa sar-nigun raazdar hai kis ka