na kar to ai dil majbur aah-e-zer-e-labi na tut jae kahin ye sukut-e-nim-shabi ye kawish-e-gham-e-pinhan hai ishq ka hasil rawa nahin teri furqat mein aarzu-talabi khuda kare yahin ruk jae gardish-e-dauran hai raazdar-e-mohabbat sukut-e-nim-shabi kahan hua hai tu shikwa-guzar-e-mahrumi jahan hai sans bhi lena kamal-e-be-adabi numud-e-husn hai goya sarab ka aalam ye kaenat hai hangama hae bulajabi dikha raha hun nasheb-o-faraaz aalam ke magar ye dil hai ki hai mahw-e-intiha-talabi mujhe bhi fakhr hai is silsile mein ai 'saqib' khuda ka shukr ki hun hashmi-o-muttalabi