dhup thi saya utha kar rakh diya ye saja taron ka mahzar rakh diya kal talak sahra basa tha aankh mein ab magar kis ne samundar rakh diya surkh-ru hoti hai kaisi zindagi doston ne la ke patthar rakh diya mundamil zakhmon ke tanke khul gae be-sabab tum ne rula kar rakh diya sabit-o-salim tha daman kal talak tum ne aakhir kyun jala kar rakh diya mit gai tishna-labi aakhir meri jab gale par us ne khanjar rakh diya ro padin aankhen bahut 'sahil' meri jab kisi ne hath sar par rakh diya