na puchh rah-e-talab mein kidhar se guzra hun

na puchh rah-e-talab mein kidhar se guzra hun
tere hi pas se guzra jidhar se guzra hun

khuda gawah ki dil mein khulus-e-gham le kar
ba-ehtiram shab-e-be-sahar se guzra hun

teri nazar ko bhi ab tak khabar nahin ai dost
is ehtiyat se teri nazar se guzra hun

tere khayal ko bhi thes lag na jae kahin
bahut sanbhal ke gham-e-mo'tabar se guzra hun

kabhi kabhi to ek aisa maqam aaya hai
main husn ban ke khud apni nazar se guzra hun

bas is qadar hai meri sharh-e-sarguzasht-e-hayat
kisi ki ek nigah-e-mukhtasar se guzra hun

kise bataun kya ai 'arzu' main kitni bar
khud un ke zehn mein un ki nazar se guzra hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close