na qahqaha na tabassum na ashk paiham hai

na qahqaha na tabassum na ashk paiham hai
jahan pe hum hain wahan kuchh ajib aalam hai

jo pahle aaj se tha aaj bhi wahi gham hai
ye daur-e-jam nahin hai fareb-e-paiham hai

bura na mano to ek baat tum se arz karun
tumhaara lutf ba-andaza-e-sitam kam hai

ye subh-o-sham ki masti ye nashsha-e-shab-o-roz
tere baghair koi kaif ho mujhe sam hai

sar-e-niyaz kabhi us ke samne na jhuka
isi qusur pe hum se zamana barham hai

hai baat baat pe hajw-e-subu-o-saghar-o-mai
janab-e-hazrat-e-wais se nak mein dam hai

nigah-e-naz ko taklif-e-iltifat na do
ki ab to zakhm-e-jigar be-niyaz-e-marham hai

khata zarur koi us se bhi hui hogi
ki aakhir 'asi'-e-khasta bhi ibn-e-adam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close