suna karo meri jaan in se un se afsane sab ajnabi hain yahan kaun kis ko pahchane yahan se jald guzar jao qafile walo hain meri pyas ke phunke hue ye virane mere junun-e-parastish se tang aa gae log suna hai band kiye ja rahe hain but-khane jahan se pichhle pahar koi tishna-kaam utha wahin pe tode hain yaron ne aaj paimane bahaar aae to mera salam kah dena mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne hua hai hukm ki 'kaifi' ko sangsar karo masih baithe hain chhup ke kahan khuda jaane