na samajh saki jo duniya ye zaban-e-be-zabani tera chehra khud kahega mere qatl ki kahani ye azab-e-asmani ye itab-e-na-gahani hain kahan samajhne wale mere aansuon ko pani kahin lut raha hai khirman kahin jal raha hai gulshan use kis ne saunp di hai ye chaman ki pasbani meri tujh se kya hai nisbat mera tujh se wasta kya tu haris-e-lala-o-gul main fida-e-baghbani tujhe naz husn par hai mujhe naz ishq par hai tera husn chand-roza mera ishq jawedani ye wo dil-ruba hai duniya mere dosto ki jis ki na koi ada nai hai na koi ada purani koi us se kah de 'akhtar' zara hosh mein wo aae na rahega zindagi bhar ye surur-e-shadmani