ye aane wala zamana hamein bataega wo ghar banega apna ki ghar basaega main sare shahr mein badnam hun khabar hai mujhe wo mere nam se kya faeda uthaega phir us ke baad ujale kharidne honge zara si der mein suraj to dub jaega hai sair-gah ye kachchi munder sanpon ki yahan se kaise koi rasta banega sunai deti nahin ghar ke shor mein dastak main jaanta hun jo aaega laut jaega main soch bhi nahin sakta tha un udanon mein wo apne ganw ki mitti ko bhul jaega hazaron rog to pale hue ho tum 'nazmi' bachane wala kahan tak tumhein bachaega