na sarban hai na naqa dikhai deta hai

na sarban hai na naqa dikhai deta hai
na-jaane kis ka ye khema dikhai deta hai

bhare jahan mein akela dikhai deta hai
wo ek shakhs jo sachcha dikhai deta hai

musafiro kahun kya rahbar ke bare mein
ba-zahir aadmi sada dikhai deta hai

kahin zamin ki tah mein bhi shakl-e-ab nahin
kahin pahad pe chashma dikhai deta hai

wo aadmi jo kisi par sitam na dekh sake
mujhe wo dekhne wala dikhai deta hai

wo tirgi hai ki kuchh bhi nazar nahin aata
bas ek umid ka tara dikhai deta hai

wo dur dekh darakhton ke jhund hain 'bedi'
wo dur koi jazira dikhai deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close