na sud hai na ziyan hasil-e-wafa kya hai wafa-parast na main hun na wo bura kya hai koi kisi ko batata nahin hua kya hai chalo unhin se ye puchhen ki majra kya hai wahi hai ruh wahi jism kuchh nahin badla khayal mein nahin aata ki phir naya kya hai main apne aap se mayus to nahin lekin jo aks hi na dikhae wo aaina kya hai mera wajud sarapa jawab hai kis ka nahin sawal to phir ye sawal sa kya hai kise qubul karun kis ko an-suna kar dun ye aati jati sadaon ka silsila kya hai na khud milega na mujh ko kabhi bulaega is aane jaane mein waise bhi ab raha kya hai wo mere pas bhi hai mehrban bhi hai mujh par faqat khayal hai mera khayal ka kya hai