go shama hun pa mahfil-e-jaanan se dur hun

go shama hun pa mahfil-e-jaanan se dur hun
main andalib hun pa gulistan se dur hun

barg-e-khizan-rasida banaya hai ishq ne
main mausam-e-bahaar mein bustan se dur hun

ai yar justuju mein teri surat-e-ghubar
sar-gashta hun pa gardish-e-dauran se dur hun

parwana-war go ki jalaya hai ishq ne
lekin charagh-e-gor-e-ghariban se dur hun

ghulta hai dil ki rah-raw-e-ulfat ke waste
main khizr hun pa chashma-e-haiwan se dur hun

kahta hai ye pukar ke khun-e-shahid-e-naz
qatil main tere gosha-e-daman se dur hun

banda hun ishq ka mera mazhab na puchhiye
aazad ho ke gabru musalman se dur hun

mauj-e-nashim-e-subh satati hai kya mujhe
main bu-e-gul ki tarah gulistan se dur hun

kahta hai us ki zulf mein phans kar ye murgh-e-dil
qaidi to hun 'jamila' pa zindan se dur hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close