nadi ne git bhi gaya nahin hai qabila laut kar aaya nahin hai azal se ye riwayat hai hamari uthaya hai sitam dhaya nahin hai maze ki baat hai dil na-samajh hai aur us ko main ne samjhaya nahin hai gham-e-duniya muafi chahta hun ye dil us ko bhula paya nahin hai mujhe tum ghaur se dekho ye main hun tumhaare jism ka saya nahin hai isi par mutmain baithe hue hain ki ab insan chaupaya nahin hai adu ki nind uda rakhi hai 'mazhar' abhi tak khwab dafnaya nahin hai