dil-e-shaida ki haqiqat mere maula kya hai jaan hazir hai meri aap se achchha kya hai ahmad aur ahmad-e-be-mim ka parda kya hai aql-e-awwal ko bhi hairat hai muamma kya hai aap ke gham ne tan-e-zar mein chhoda kya hai malak-ul-maut ka ye mujh se taqaza kya hai aish-e-imroz pe khush hain gham-e-farda kya hai maut aa jae to mar jaenge jhagda kya hai hum to madhosh pade rahte the mai-khane mein kya khabar katib-e-amal ne likkha kya hai aaj tak shahr-e-khamoshan ka na kuchh haal khula log kya dekhne jate hain tamasha kya hai arsa-e-hashr mein hai aaj qayamat ki giraft ab batae to koi nazish-e-taqwa kya hai sar to hum bhi na jhukaenge subuk-sar ho kar charkh dushman hai to dushman sahi hota kya hai tum se hat kar kahin padti hi nahin meri nazar tum tamanna ho meri aur tamanna kya hai du-badu kyun na kahun tum se jo kahna hai mujhe dil mein ghut ghut ke jo rah jae wo shikwa kya hai gul ke daman pe kahin khun ka dhabba na lage tarz-e-fariyaad ye ai bulbul-e-shaida kya hai mushkilen sainkadon har gam pe pesh aati hain dhundne walon ne tujh ko abhi paya kya hai kya bataun dil-e-ranjur ki haalat tum ko wo to har roz ka bimar hai achchha kya hai kalima padhta hua qabr mein utra hun main mere mazhab ko nakirain ne samjha kya hai ek na ek fikr lagi rahti hai har dam mujh ko fikr-e-duniya mein pada hun gham-e-uqba kya hai baada-noshon ke dua karte hi baadal umde aql hairan hai zahid ki ye hota kya hai shab-e-mearaj ki kya shan hai allah allah aaj dekhe to koi arsh-e-mualla kya hai ab ke bhi rauza-e-aqdas pe rasai na hui aur phir shumi-e-taqdir ka rona kya hai ai falak hum tujhe zalim nahin kahte lekin ghaur se sun ki sada-e-lab-e-duniya kya hai gham-e-ulfat ki tawazoa ki jigar hai maujud aur maqdur mera is se ziyaada kya hai murde ji uthte hain jab nam tera sunte hain hum se puchhe koi ejaz-e-masiha kya hai maslahat ye hai ki izhaar-e-mohabbat na karun maut hai mere liye arz-e-tamanna kya hai dil-e-raushan ko samajh kaba-nashin ki manzil dair kahte hain kise aur kalisa kya hai kabhi botal ko uthata hai kabhi saghar ko nahin malum ki 'rasikh' ka irada kya hai