nahin ki humne kabhi haal-e-soz-e-jaan na kaha

nahin ki hum ne kabhi haal-e-soz-e-jaan na kaha
magar ba-hila-e-araish-e-bayan na kaha

koi khata na hui jis ki ye mile padash
magar yahi ki zaminon ko aasman na kaha

jis anjuman se hua qissa-e-junun aaghaz
wahin kabhi na kaha go kahan kahan na kaha

ye ehtiram-e-talluq ye ehtiyat to dekh
ki zindagi ko kabhi hum ne raegan na kaha

tere karam ko karam hi kaha sitam ko sitam
zahe khulus-e-tamanna ki imtihan na kaha

hazar khushk raha apni zindagi ka chaman
teri bahaar ko lekin kabhi khizan na kaha

hamein bhi nudrat-e-uslub thi aziz magar
unhen jahan hi pukara gham-e-jahan na kaha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close