nahin nam-o-nishan sae ka lekin yar baiThe hain

nahin nam-o-nishan sae ka lekin yar baithe hain
uge shayad zamin se khud-ba-khud diwar baithe hain

sawar-e-kashti-e-amwaj-e-dil hain aur ghafil hain
samajhte hain ki hum dariya-e-gham ke par baithe hain

ujad aisi na thi duniya abhi kal tak ye aalam tha
yahan do-chaar baithe hain wahan do-chaar baithe hain

phir aati hai isi sahra se aawaz-e-jaras mujh ko
jahan majnun se diwane bhi himmat haar baithe hain

samajhte ho jinhen tum sang-e-mil ai qafile walo
sar-e-rah khastgan-e-hasrat-raftar baithe hain

ye jitne masale hain mashghale hain sab faraghat ke
na tum be-kar baithe ho na hum be-kar baithe hain

tumhein 'anjum' koi us se tawaqqo ho to ho warna
yahan to aadmi ki shakl se be-zar baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close