nai tahzib se bachchon ko bachaun kaise

nai tahzib se bachchon ko bachaun kaise
khud to bigda hun zamane ko banaun kaise

wo na dekhe meri jaanib to nahin us ki khata
main andhere mein pada hun nazar aaun kaise

mere aangan mein to aai hi nahin mauj-e-bahaar
koi phulon se bhara git sunaun kaise

chahta to hun ki dekhun pas-e-parda kya hai
dastaras jis pe na ho us ko uthaun kaise

par nikalte hi koi us ko katar deta hai
apne bachchon ko fazaon mein udaun kaise

waqt mahdud diya kaam diya la-mahdud
zindagi bol tera qarz chukaun kaise

jism par chot lagi ho to dikhaun 'mahir'
dil pe jo chot lagi hai wo dikhaun kaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close