nala-e-mauzun se misra aah ka chaspan hua

nala-e-mauzun se misra aah ka chaspan hua
zor ye pur-dard apna matla-e-diwan hua

jis ne dekha aa ke ye aaina-khana dahr ka
fil-haqiqat bas wo apna aap hi hairan hua

sab pe zahir ho gai betabi-e-dil shakl-e-barq
wo bhabhuka apni nazron se jo tuk pinhan hua

us ke jaane se ye dil mein aae hai rah rah ke hae
sab jahan basta hai ek apna hi ghar viran hua

kash dil se chashm tak aane na pata tifl-e-ashk
rafta rafta ab to ye ladka koi tufan hua

gar hue wa us ke lab to dekhiye kya gul khile
ho khafa jab be-tarah wo raunaq-e-bustan hua

aae jo marqad pe mere so mukaddar ho gae
khak ho kar bhi ghubar-e-khatir-e-yaran hua

roz-o-shab rahne lage is ghar mein ye kafir sanam
kaba-e-dil saf apna ab to kufristan hua

josh-e-wahshat dekhiyo koi ki har ek khar ke
dhajjiyan ho kar gale ka haar ye daman hua

ashk-e-rangin ne jo apne kar diya yan farsh-e-gul
rashk-e-sad-gulshan hamein ye gosha-e-zindan hua

bandh gaya tera tasawwur jis ki aankhon ke huzur
us ko bas aalam visal-o-hijr ka yaksan hua

yak-ba-yak tu ne ye kaisa rang badla ai falak
teri gardish se kahin kya sakht ji halkan hua

kal talak jo ghar ghar apna tha so us ke dar pe aaj
nila pila dekh kar kya kya hamein darban hua

garche har qalib mein 'jurat' suraten dhalti rahin
par bana jo dard ka putla wo hi insan hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close