naqsh-bar-ab ho gaya hun main kitna kamyab ho gaya hun main jhurriyan kah rahi hain chehre ki khushk talab ho gaya hun main kya karunga main ab khushi le kar gham se sairab ho gaya hun main yaad rakhta nahin mujhe koi arsa-e-khwab ho gaya hun main is qadar bar-e-gham uthaya hai jhuk ke mehrab ho gaya hun main ek masiha ki mehrbani se jam-e-zahrab ho gaya hun main khushk aansu hue hain jis din se dasht-e-be-ab ho gaya hun main hai ye ehsan jabr-e-duniya ka sakht aasab ho gaya hun main us ne jis din se chhu liya mujh ko rashk-e-mahtab ho gaya hun main khud hi 'ejaz' apna dushman hun sirf ahbab ho gaya hun main