sham-e-iKHlas-o-yaqin dil mein jala kar chaliye

sham-e-ikhlas-o-yaqin dil mein jala kar chaliye
zulmat-e-yas mein ummid jaga kar chaliye

hum se diwane kahan zad-e-safar rakhte hain
sath chalna hai to asbab luta kar chaliye

ishq ka rasta aasan nahin hota hai
bazi-e-ishq mein jaan apni luta kar chaliye

raat andheri ho to jugnu ki chamak kafi hai
shart itni hai ki ehsas jaga kar chaliye

nafrat o bughz ka anjam bura hota hai
nafrat o bughz se daman ko bacha kar chaliye

raat saffak hai suraj ko nigal jati hai
apni mutthi mein sitaron ko chhupa kar chaliye

hath ko hath sujhai nahin deta hai 'ashok'
ab charaghon ki jagah dil ko jala kar chaliye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close