nashat-e-arzu ka aur kya anjam likkhunga

nashat-e-arzu ka aur kya anjam likkhunga
use bhi ik-na-ik din hasrat-e-nakaam likkhunga

meri rudad-e-dil ki ibtida tum intiha bhi tum
tumhaara tazkira kaise barae-nam likhunga

qalam ki raushnai jaane kya ilzam de mujh ko
main apni subh ke auraq par jab sham likkhunga

kitab-e-ishq jab bhi zindagi likhwaegi mujh se
wafa ke bab mein pahle tumhaara nam likkhunga

teri furqat mein khoya main teri qurbat mein kya paya
na ye taklif likkhunga na wo aaram likkhunga

meri subhen khafa hon ya hon bargashta meri shamen
diya hai dopahar ne jo mujhe inam likkhunga

sar-e-mizhgan jo akhtar ban ke chamke the 'naim-akhtar'
main apni zindagi un aansuon ke nam likkhunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close