ye rang be-rang sare manzar hain ek jaise ye phul sare ye sare nashtar hain ek jaise ye awwal awwal tamam bikhre hue manazir nazar jama lo to aakhar aakhar hain ek jaise meri nigahon se ho ke jata hai un ka pani ye sare dariya sabhi samundar hain ek jaise main kal jis ko milaun ja kar mile usi ko ye kya ki duniya ke sare number hain ek jaise ye muskurahat ka ek parda sa gar hata kar 'kabir' dekho to sab ke andar hain ek jaise