nashsha-e-shauq-e-rang mein tujhse judai ki gai

nashsha-e-shauq-e-rang mein tujh se judai ki gai
ek lakir khun ki beach mein khinch di gai

thi jo kabhi sar-e-sukhan meri wo khamushi gai
hae kuhan-e-sinan ki baat hae wo baat hi gai

shauq ki ek umr mein kaise badal sakega dil
nabz-e-junun hi to thi shahr mein dubti gai

us ki gali se uth ke main aan pada tha apne ghar
ek gali ki baat thi aur gali gali gai

us ki ummid naz ka mujh se ye man tha ki aap
umr guzar dijiye umr guzar di gai

daur-ba-daur dil-ba-dil dard-ba-dard dam-ba-dam
tere yahan riayat-e-haal nahin rakhi gai

'jaun' junub-e-zard ke khak-basar ye dukh utha
mauj-e-shumal-e-sabz-jaan aai thi aur chali gai

kya wo guman nahin raha han wo guman nahin raha
kya wo umid bhi gai han wo umid bhi gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close