naya adam koi nai hadon ka intiKHab ab

naya adam koi nai hadon ka intikhab ab
utar lun main rukh se ye dawam ka naqab ab

hum apni zindagi ko khud se dur le ke jaenge
ki phutne hi wala hai khala ka ye habab ab

janam na le sake tere bhanwar ki aankh mein to kya
hum aur paniyon mein dhund lenge ek sarab ab

sada sukut jo bhi chahiye utha le is ghadi
main band kar raha hun aise marhalon ke bab ab

jahan hai jo kahan hai wo jahan nahin hai sab wahin
tarashne laga hun kis tilism se main khwab ab

jahan hai aks ka khandar umad pade hain sab udhar
'riyaz' ho raha hai tera aaina kharab ab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close