naya khila hai shagufa koi bahaar mein kya

naya khila hai shagufa koi bahaar mein kya
gundha hua hai mera dil kisi ke haar mein kya

udane phul hasin aae hain bahaar mein kya
lagi hai aag si ye aaj lala-zar mein kya

kisi se kahne ye aae hain wo sahar hote
tamam-raat kati mere intizar mein kya

tumhaare khal ka bosa nahin hai ginti mein
zara si chiz hai aaegi ye shumar mein kya

utar li sar-e-bazar jis ne rukh se naqab
hijab aae use sau main kya hazar mein kya

ye surma chashm-e-adu ke liye utha rakkhen
wo khak dalte hain chashm-e-etibar mein kya

banaenge dil-e-pur-dagh jama kar ke unhen
chamakte dekhe hain zarre mere ghubar mein kya

ye mere dosh se hote nahin juda dam-e-naza
gadenge mere farishte mere mazar mein kya

hai intizar ki mai-nosh khum liye pahunchen
ghiri hain kal se ghataen ye sabza-zar mein kya

jo dekhe sanp ke kate ki lahr use aae
bhara hai zahr ab aisa bhi zulf-e-yar mein kya

sharab se bhi siwa khush-gawar hai hum ko
bataen kya ki maza pad gaya udhaar mein kya

kanar-e-shauq mein aa kar hasin nikal na sake
asar khuda ne diya hai hamare pyar mein kya

'riyaz' tauba karo din khizan ke aae hain
tum aae pine ko jati hui bahaar mein kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close