wo ja chuka hai to kyun be-qarar itne ho

wo ja chuka hai to kyun be-qarar itne ho
mohabbat us se karo jis ko bhul sakte ho

nishan-e-manzil-e-jaan gar nahin mila na sahi
chalo safar to kiya hai kahin to pahunche ho

tamam umr na milne ka hausla hi sahi
tum apne dil mein koi aarzu to rakhte ho

safar bhi tum ne kiya aaftab ki surat
abhi tak apne hi naqsh-e-qadam pe chalte ho

jo raushni hai dilon mein ata tumhaari hai
charag tum sa nahin tum charag jaise ho

dilon ke soe hue gham abhi to jage hain
zara si der to baitho abhi to aae ho

tumhaare lahje ka ye zer-o-bam qayamat hai
kabhi rafiq kabhi na-shanas lagte ho

khuda suna hai rag-e-jaan ke pas rahta hai
magar tum aur bhi nazdik aate jate ho

tamam din rahi sae ki justuju 'shahzad'
hui hai raat to aankhen talash karte ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close