naya labaada purani nishaniyan na gain faqih-e-shahr ki resha-dawaniyan na gain saron pe taj na un ke ghulam gardish mein magar dimagh se kyun rajdhaniyan na gain bahut kashid kiya paniyon ko suraj ne samundaron ki magar be-karaniyan na gain fareb khane ke ba-wasf bhi kisi lamhe dil-e-tabah teri khush-gumaniyan na gain tumhaari or se kya mutmain nahin the hum tumhaari or se kyun bad-gumaniyan na gain