ab agar aur chup rahunga main phir ye tai he ki phat padunga main ek aisa bhi waqt aaega tum sunoge faqat kahunga main naz uthaunga naz uthane tak tere aage nahin bichhunga main dekhna teri rahbari ke baghair apni manzil talash lunga main tum ko jaana hai shauq se jao ab khushamad nahin karunga main jab kabhi tujh se samna hoga ajnabi ki tarah milunga main kya sabab hai meri khamoshi ka shor thamne do phir kahunga main aaina rakh ke samne 'nayab' pagalon ki tarah hansunga main