naya lahja ghazal ka misra-e-sani mein rakkha hai

naya lahja ghazal ka misra-e-sani mein rakkha hai
hua ko mutthiyon mein aag ko pani mein rakkha hai

na jaane kya samajh kar chakh liya tha dana-e-gandum
abhi ek bhul ne ab tak pashemani mein rakkha hai

watan se dur hun mein rizq ki khatir mere maula
magar basti ko teri hi nigahbani mein rakkha hai

safar mein bhi daramai anasir kaam aae hain
zaban ki chashni se sab ko hairani mein rakkha hai

ghazal kahne ka mausam 'qasmi' ab ho gaya rukhsat
sukun-e-qalb to us ki sana-khwani mein rakkha hai

mohazzab shahr ke lambe safar se lut aaya hun
saliqa zindagi ka ghar ki virani mein rakkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close