nind aati hi nahin dhaDke ki bas aawaz se

nind aati hi nahin dhadke ki bas aawaz se
tang aaya hun main is pur-soz dil ke saz se

dil pisa jata hai un ki chaal ke andaz se
hath mein daman liye aate hain wo kis naz se

saikadon murde jalae ho masiha naz se
maut sharminda hui kya kya tere eajaz se

baghban kunj-e-qafas mein muddaton se hun asir
ab khule par bhi to main waqif nahin parwaz se

qabr mein rahat se soe the na tha mahshar ka khauf
baz aae ai masiha hum tere eajaz se

wae ghaflat bhi nahin hoti ki dam bhar chain ho
chaunk padta hun shikast-e-hosh ki aawaz se

naz mashuqana se khali nahin hai koi baat
mere lashe ko uthae hain wo kis andaz se

qabr mein soe hain mahshar ka nahin khatka 'rasa'
chaunkne wale hain kab hum sur ki aawaz se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close