naya sauda naya dard-e-nihani le ke aaya hun

naya sauda naya dard-e-nihani le ke aaya hun
nai us bazm se main zindagani le ke aaya hun

kuchh apni na-tawani kuchh tera pas-e-nazakat tha
nigahon mein mohabbat ki kahani le ke aaya hun

tere jalwe ke nazzare ko khali hath kya aata
lutane ko bahaar-e-naujawani le ke aaya hun

labon par mohr-e-khamoshi hai aankhen dabdabai hain
asar-andaz apni be-zabani le ke aaya hun

khuda-malum qasid kya sunae dil dhadakta hai
ye kahta hai ki paigham-e-zabani le ke aaya hun

mizha par garm garm aansu labon par sard sard aahen
fasana dard ka gham ki kahani le ke aaya hun

sarishk-e-khun dil-e-pur-dagh afsurda tamannaen
azal se ye mataa-e-zindagani le ke aaya hun

maqam-e-khizr tha ya mai-kada tha kya kahun kya tha
jahan se main hayat-e-jawedani le ke aaya hun

'jalil' abr-e-siyah kya jhumta hai sabza-zaron par
ye kahta hai ki aab-e-zindagani le ke aaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close