nazar ki ruh ki dil ki saubaten bhi gain gaya shabab to wo sari uljhanen bhi gain gai jawani to aai shuur ki daulat qadam qadam pe zamane se ranjishen bhi gain shab-e-visal ka arman na fikr-e-sham-e-alam wo karobar-e-junun ki nawazishen bhi gain safed baal hue tank-jhank mein hail kahan ka shauq-e-nazara basarten bhi gain junun-e-ishq bhi rukhsat hua shabab ke sath wo ratjagon ki purani riwayaten bhi gain gunah hashr mein thahri gunah ki hasrat gunah bhi na kiye aur jannaten bhi gain khayal-e-gesu-e-jaanan safed rish mein gum wo chashm-o-lab ke tasawwur ki lazzaten bhi gain buton ki chah ne kafir bana diya tha hamein khuda ka shukr hai 'farhat' wo aadaten bhi gain