nazar se dur rahe ya nazar ke pas rahe

nazar se dur rahe ya nazar ke pas rahe
hamesha ishq ke mausam bahut hi khas rahe

main tere zikr ki wadi mein sair karta rahun
hamesha lab pe tere nam ki mithas rahe

ye iztirab junun ko bahut akharta hai
ki tum qarib ho tan par koi libas rahe

wo ru-ba-ru the to aankhon se daur chal nikle
khuli na botalen khali sabhi gilas rahe

ye baat raaz ki dadi ne hum ko batlai
hamari umr mein abba bhi dewdas rahe

main kahkashaon mein khushiyan talashne nikla
mere sitare mera chand sab udas rahe

main muntazar hun kisi aise wasl ka jis mein
mere badan pe tere jism ka libas rahe

teri hayat se jud jaun waqia ban kar
teri kitab mein mera bhi iktisab rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close