abhi se taq-e-talab par na tu saja mujh ko abhi to karna hai is dil se mashwara mujh ko abhi shabih mukammal nahin hui teri abhi to bharna hai ek rang-e-mawara mujh ko koi na koi to surat nikal hi aaegi zara batao to darpesh marhala mujh ko ye baat baat pe takrar-o-bahs kya karna ki jitna hai tumhein aur haarna mujh ko main us ki zat mein shamil thi, us ko mil jati dua-e-khair samajh kar wo mangta mujh ko main jis mein dekh ke khud ko sanwar lun 'nahid' abhi mila hi kahan hai wo aaina mujh ko